Do, pal ruka

Do, pal ruka, khwaabon ka kaarvaan
Aur phir, chal diye, tum kahaan, ham kahaan
Do pal ki thi, ye dilon ki daastaan
Aur phir, chal diye, tum kahaan, ham kahaan
Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan

Tum the ke thi koyi ujli kiran
Tum the ya koyi kali muskaayi thi
Tum the ya tha sapnon ka tha saawan
Tum the ke khushiyon ki ghata chhaayi thi
Tum the ke tha koyi phool khila
Tum the ya mila tha mujhe naya jahaan
Do pal ruka khwaabon ka kaarvaan
Aur phir chal diye tum kahaan ham kahaan
Do pal ki thi, ye dilon ki daastaan
Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan
Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan


Aa... aa... aa...

Tum the aa khushboo hawaaon mein thi
Tum the ya rang saari dishaaon mein the
Tum the ya roshni raahon mein thi
Tum the ya geet goonje fizaaon mein the
Tum the mile ya mili thi manzilein
Tum the ke tha jaadoo bhara koyi sama
Do pal ruka, khwaabon ka kaarvaan
Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan
Do pal ki thi, ye dilon ki daastaan
Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan
Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan
Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan

No comments:

Post a Comment